agar mere qismat ka meri waqt pr itna asar hota
to shayad puri qaynat meri ho jati
agar meri duaon ka meri qismat par itna asar hota,
to shayad har mushkil asan ho jati.
agar meri mehnat ka meri duaon par itna asar hota
to shayad meri har mehnat safal ho jati
agar meri tanha zindagi me tere hone ka asar hota
to shayad har mushkil safar asan ho jati
agar meri muskurahat ka meri ghamon par itna asar hota,
to shayad har dard bhi sukoon mein badal jata.
agar meri chahat ka meri haqikat pr itna asar hota
to shayd aaj meri haqikat kuch aur hoti
agar meri zindagi ka meri maut par itna asar hota,
to shayad maut bhi zindagi mein badal jati.